आपको हमारी वेबसाइट पर हर प्रकार की तकनीकी जानकारी मिलेगी और आप सब हमसे इस वेबसाइट की मदद से कोई भी तकनीकी जानकारी पूछ सकते है|||

सोमवार, 25 अप्रैल 2016

How to Block or Unblock contact in whatsapp

कोई टिप्पणी नहीं :
Dosto aaj sab ke pass apna apna smartphone hai aur usme whatsapp bhi hai| aaj ka yug yesa hai ki yek button dabane par ulat fer ho jata hai| iska aapko yek example de du jese aap whatsapp chalate hai kuch likhne ke baad yek button dabane par wh likha hua india se america tak chale jate hai| jab whatsapp par aapko koi kharab messege bhejte rahata hai to aapka man karta hai ki kisi tarah isse chutkara paa lu| par kuch logo ko kharab messeges se chutkara pane nahi aata par ab aap yeh post padh ke kharab messege bhejne wale logo se chutkara paa sakte hai| ab aap soch rahe honge ki kese? Aap ko jo kharab messege bhejte rahte hai aap un logo ko block kar sakte hai| whatsapp me kisi ko block karne ka tarika niche likha hua hai|
1. Sabse pahle aap apne whatsapp ke settings me jaiye|
2. Fir settings me yek account ka option hoga aapko us option ko select karna hai|
3. Fir aap privacy ko select kar le aur blocked ka option pe click kar de|
4. Fir aap add ka option kar de|
5. Aakhir me aapko un contacts ko chun lena hai jo aapko whatsapp pe tang karte rahte hai|
In steps ko follow karke aap un contacts ko block kar sakte hai|
How to Unblock a contact in whatsapp-----
Contact ko unblock karna ke liye aapko block karne ke teen steps ko follow karna hoga fir blocked contacts ka option ko select karna hoga| fir aapko jo contact unblock karna hai usse click karke rakhiye fir yek pop up menu aayega aur aapko unblock ka option select karna hoga| is prakar aap kisi blocked contact ko unblock kar sakte hai|
Yadi aapko koi aur jaankari chahiye hogi toh aap humse puch sakte hai|

कोई टिप्पणी नहीं :

एक टिप्पणी भेजें